THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Hamaare Dil Pe Jo Zakhmon Ka Baab Likhaa Hai-Manzar Bhopali
manzar bhopali



Hamaare Dil Pe Jo Zakhmon Ka Baab Likhaa Hai
Usi Men Vaqt Ka Saaraa Hisaab Likhaa Hai

Kuch Aur Kaam To Ham Se Na Ho Saka Lekin
Tumhaare Hijr Ka Ek Ek Azaab Likhaa Hai

Sulook Nishtaron Jaisa Na Keejiye Ham Se
Hamesha Aap Ko Ham Ne Gulaab Likhaa Hai

Tere Vajood Ko Mahsoos Umr Bhar Hogaa
Tere Labon Pe Jo Ham Ne Javaab Likhaa Hai

Hua Fasaad To Us Men Nahin Kisi Ka Qusoor
Havaa-E-Shah’r Ne Mausam Kharaab Likhaa Hai

Agar Yaqeen Nahin To Uthaaiye Taarikh
Hamaara Naam Basad Aab-O-Taab Likhaa Hai

     ------------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib