Fani Badayuni- Ahd-E-Jawaani Aur Phir Dil Mein Unki Mohabbat Kya Kahiye


Ahd-E-Jawaani Aur Phir Dil Mein Unki Mohabbat Kya Kahiye
Deewane Ka Khwab Aur Woh Bhi Khwab-E-Qayamat Kya Kahiye

Harf-E-Tamanna Be-Maani Sa Naqsh-E-Vafa So Dhundhla Sa
Dil Ki Haqeeqat Kuch Bhi Nahin Hai Dil Ki Haqeeqat Kya Kahiye

Hashr Bhi Guzra Hashr Mein Bhi Yeh Soch Kar Hamne Kuch Na Kaha
Gham Ki Hikyat Kaun Sunega Gham Ki Haqeeqat Kya Kahiye

Woh Na Shai Maghroor Magar Kuch Himmat-E-Arz-E Haal To Ho
Shukr Kiye Bhi Ban Na Padta Harf-E-Shikayat Kya Kahiye

Ek Ghalat Andaaz-E-Nazar Se Dil Ki Tabaahi Sahi Na Thi
Dard Se Mil Kar Tu Ne Luta Di Sabr Ki Daulat Kya Kahiye

Marg-E-Mohabbat Se ‘Fani’ Takmeel-E-Vafa Ham Kya Karte
Ham Ne Jeene Se Hi Na Paayi Ab Tak Fursat Kya Kahiye

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>