THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Nasikh - Saath Apne Jo Mujhe Yaar Ne Sone Na Diyaa
Saath Apne Jo Mujhe Yaar Ne



Saath Apne Jo Mujhe Yaar Ne Sone Na Diyaa
Raat Bhar Mujhko Dil-E-Zaar Ne Sone Na Diyaa

Khwaab Hi Mein Nazar Aataa Voh Shab-E-Hijr Kahin
So Mujhe Hasrat-E-Deedaar Ne Sone Na Diyaa

Khuftagi Bakht Ki Kya Kahiye Ki Juz Khwaab-E-Adam
Umar Bhar Deeda-E-Bedaar Ne Sone Na Diyaa

Yahi Sayyad Gilaa Karta Hai Meraa, Har Subah
Naala-E-Murgh-E-Giraftaar Ne Sone Na Diyaa

Samjhe The Baad-E- Fanaa Paayenge Raahat Naasikh
Hashr Tak Vaada-E-Deedaar Ne Sone Na Diyaa

------------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib