Ik Din Kissi Makri Se Yeh Khene Laga Makraa
Iss Rah Se Hotaa Hai Guzar Roz Tumhaaraa
Lekin Meri Kutiyaa Ki Naa Jaagi Kabhi Qismat
Bhoole Se Kabhi Tum Ne Yahaan Paaon Naa Rakhaa
Ghairon Se Naa Miliye To Koi Baat Naheen Hai
Apnon Se Magar Chaahiye Yun Khinch Ke Na Rehnaa
Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Yeh Meri
Woh Saamne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Aanaa
Makhi Ne Sunni Baat Jo Makre Ki To Boli
Hazrat Kissi Naadaan Ko Deejiye Ga Yeh Dhokaa
Iss Jaal Mein Makhi Kabhi Aane Ki Naheen Hai
Jo Aap Ki Seerhi Pe Charhaa Phir Naheen Utraa
Makre Ne Kaha Wah Farebi Mujhe Samjhe
Tum Sa Koi Naadaan Zamaane Mein Na Hogaa
Manzoor Tumhaari Mujhe Khaatir Thi, Wagar Na
Kuch Faaidah Apna To Mera Iss Mein Naheen Thaa
Urti Huwee Aaie Ho Khuda Jaane Kahaan Se
Thehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kyaa
Iss Ghar Mein Kai Tum Ko Dikhaane Ki Hain Cheezen
Baahar Se Nazar Aati Hai Choti Si Yeh Kuttiyaa
Latke Huve Darwaazon Pe Baareek Hain Parde
Deewaaron Ko Aaine Se Hai Main Ne Sajaayaa
Mehmaanon Ke Aaraam Ko Haazir Hain Bichaune
Har Shakhs Ko Saamaan Yeh Mayassar Naheen Hotaa
Makhi Ne Kaha Khair Yeh Sub Theek Hai Lekin
Main Aap Ke Ghar Aaoun, Yeh Umeed Na Rakhnaa
Inn Narm Bichaunon Se Khuda Mujh Ko Bachaaye
So Jaaye Koi Inn Pe To Phir Uth Naheen Saktaa
Makre Ne Kahaa Dil Main, Suni Baat Jo Uss Ki
Phaansoon Isse Kiss Tarah Yeh Kambakht Hai Daanaa
Sau Kaam Khushaamad Se Nikalte Hain Jahaan Main
Dekho Jisse Duniya Mein Khushaamad Ka Hai Banda
Yeh Soch Ke Makhi Se Kahaa Uss Ne Bari-Bee
Allah Ne Bakhsha Hai Baraa Aap Ko Rutba
Hoti Hai Usse Aap Ki Soorat Se Mohabbat
Ho Jiss Ne Kabhi Ek Nazar Aap Ko Dekhaa
Aankhen Hain Ke Heere Ki Chamakti Huvee Kanniyan
Sar Aap Ka Allah Ne Kalghi Se Sajaayaa
Yeh Husn, Yeh Poshaak, Yeh Khoobi, Yeh Safaai
Phir Uss Pe Qiyaamat Hai Yeh Urte Huve Gaanaa
Makhi Ne Suni Jub Yeh Khushaamad To Paseeji
Boli Ke Naheen Aap Se Mujh Ko Koi Khatkaa
Inkaar Ki Aadat Ko Samajhti Hoon Bura Main
Such Yeh Hai Ke Dil Todna Achcha Naheen Hotaa
Yeh Baat Kahi Aur Udi Apni Jagah Se
Pass Aaie To Makre Ne Uchal Kar Usse Pakdaa
Bhookha Tha Kaie Roz Se Ab Haath Jo Aaie
Aaraam Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Urdaayaa
----------------------
1 Comments
Wonderful poem by my favourite Urdu author
ReplyDelete