Sahir Ludhianvi- Nazm- 'Aawaz-E-Aadam'

Nazm- 'Aawaz-E-Aadam'

Dabe Gi Kab Talak Aawaaz-E-Aadam, Ham Bhi Dekhein Ge
Rukein Ge Kab Talak Jazbaat-E-Barham, Ham Bhi Dekhein Ge
Chalo Yoon Hi Sahi Ye Jaur-E-Paiham, Ham Bhi Dekhein Ge

Dar-E-Zindaan Se Dekhein Ya Urooj-E-Daar Se Dekhein
Tumhein Ruswa Sar-E-Baazaar-E-Aalam Ham Bhi Dekhein Ge
Zara Dam Lo Maal-E-Shaukat-E-Jam Ham Bhi Dekhein Ge
Ba-Zom-E-Quwwat-E-Faulaad-O-Aahan Dekh Lo Tum Bhi
Ba-Faiz-E-Jazbaa-E-Imaan-E-Mohkam Ham Bhi Dekhein Ge
Jabeen-E-Kaj-Kulaahi Khaak Par Kham Ham Bhi Dekhein Ge
Mukaafaat-E-Amal Taareekh-E-Insaan Ki Rawaayat Hai
Karo Ge Kab Talak Naawak Faraaham Ham Bhi Dekhein Ge
Kahaan Tak Hai Tumhaare Zulm Mein Dam Ham Bhi Dekhein Ge
Ye Hangaam-E-Widaa-E-Shab Hai Ai Zulmat Ke Farzando
Sahar Ke Dosh Par Gulnaar Parcham Ham Bhi Dekhein Ge
Tumhein Bhi Dekhna Hoga Ye Aalam Ham Bhi Dekhein Ge
        ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>