Sahir Ludhianvi-Nazm- Yak-Sooi

Nazm- Yak-Sooi

Ahd-E-Gum-Gashta Ki Tasveer Dikhaati Kyon Ho?
Ek Aawaara-E-Manzil Ko Sataati Kyon Ho?
Vo Hasin Ahd Jo Sharminda-E-Ifaa Na Huaa
Us Hasin Ahd Ka Mafhoom Jataati Kyon Ho?

Zindagi Sho’la-E-Be-Baak Banaa Lo Apni
Khud Ko Khakistar-E-Khaamosh Banaati Kyon Ho?
Main Tasawwuf Ke Maraahil Ka Nahin Hoon Qaa’el
Meri Tasveer Pe Tum Phool Chadhaati Kyon Ho?

Kaun Kahta Hai Ke Aahein Hain Masaaib Ka Ilaaj
Jaan Ko Apni Abas Rog Lagaati Kyon Ho?
Ek Sarkash Se Muhabbat Ki Tamanna Rakh Kar
Khud Ko Aayin Ke Phandon Mein Phansaati Kyon Ho?

Main Samajhta Hoon Taqaddus Ko Tamaddun Ka Fareb
Tum Rasoomaat Ko Eimaan Banaati Kyon Ho?
Jab Tumhein Mujh Se Zyada Hai Zamaane Ka Khayaal
Phir Meri Yaad Mein Yoon Ashk Bahaati Kyon Ho?

Tum Mein Himmat Hai To Duniya Se Baghaawat Kar Lo
Varna Maan-Baap Jahaan Kahte Hain Shaadi Kar Lo

           ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>