Parveen Shakir - Ajeeb Tarz-E-Mulaaqaat Ab Ke Baar Rahi


Ajeeb Tarz-E-Mulaaqaat Ab Ke Baar Rahi

Ajeeb Tarz-E-Mulaaqaat Ab Ke Baar Rahi

Tumhin They Badle Hue Ya Meri Nigaahen Thin
Tumhaari Nazron Se Lagtaa Tha Jaise Meri Bajaaye
Tumhaare Ghar Mein Koi Aur Shakhs Aaya Hai
Tumhaare Ohad Ki Denen Tumhen Mubaarak

So Tum Ne Mera Swaagat Usi Tarah Se Kiya
Jo Afsaraan-E-Hukoomat Ke Aiteqaad Main Hai
Takalluffan Mere Nazdeek Aa Ke Baith Gaye
Phir Ehtamaam Se Mausam Ka Zikr Cher Diya

Kuch Us Ke Bad Siyaasat Ki Baat Bhi Nikli
Adab Par Bhi Koi Do-Chaar Tabsare Faramaye
Magar Na Tum Ne Hamesha Ki Tarah Ye Poocha
Ke Waqt Kaisa Guzarta Hai Tera Jaan-E-Hayaat

Pahaad Din Ki Azeeyat Mein Kitni Shiddat Hai
Ujaad Raat Ki Tanhaai Kya Qayaamat Hai
Shabon Ki Sust Rawi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai
Gham-E-Firaq Ke Qisse Nishat-E-Wasl Ka Zikr

Rawaayatan Hi Sahi Koi Baat To Karte

----------------------

 

Post a Comment

0 Comments

–>