Parveen Shakir- Harf-E- Taaza Nai Khushboo Mein Likha Chahta Hai


 Harf-E- Taaza Nai Khushboo Mein

Harf-E- Taaza Nai Khushboo Mein Likha Chahta Hai
Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai

Ek Lamhay Ki Tawajo Nahin Haasil Uss Ki
Aur Yeh Dil Ke Ussay Had Se Siwa Chahta Hai

Ik Hijaab Tah-E-Iqraar Hai Ma'nay Manay Warna
Gul Ko Maaloom Hai Kaya Dast-E-Saba Chahta Hai

Ret He Ret Hai Iss Dil Mein Musaafir Mere
Aur Yeh Sehra Tera Naqsh-E-Kaf-E-Paa Chahta Hai

Yehi Khamoshi Ke Rung Mein Zaahir Ho Gi
Aur Kuch Roz Ke Woh Shokh Khula Chahta Hai

Raat Ko Maan Liya Dil Ne Muqaddar Lekin
Raat Ke Haath Pe Ab Koi Diya Chahta Hai

Tere Paimaane Mein Gardish Nahin Baaqi Saaqi
Aur Teri Bazm Se Ab Koi Utha Chahta Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>