Daagh Dehlvi- Ai Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko

Ai Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke

Ai Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko
Jaake Aana Nahin Duniya Mein Dobara Ham Ko

Ham Kisi Zulf-E-Parishaan Ki Tarah Aye Taqdeer
Khoob Bigde The Magar Khoob Saanwara Ham Ko

Shukr Sad Shukr Ki Ab Qabr Mein Ham Jaa Pahunche
Tauseen-E-Umr Ne Manzil Pe Utaara Ham Ko

Bad-Salooki Mein Maza Kya Hai Maza Hai Is Mein
Ki Hamaara Ho Tumhein Paas Tumhara Ham Ko

Behr-E-Hasti Mein Huye Kashti-E-Toofaan Ham To
Nahin Milta Hai Kahin, ‘Daagh’ Kinaara Ham Ko

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>