Daagh Dehlvi- Dil Hi To Hai Na Aaye Kyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyun

Dil Hi To Hai Na Aaye Kyun



Dil Hi To Hai Na Aaye Kyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyun
Ham Ko Khuda Jo Sabr De Tujh Sa Haseen Banaaye Kyun

Go Nahin Bandagi Qubool Par Tera Aastaan To Hai
Kaaba-O-Dair Mein Hai Kya, Khaakh Koi Udaaye Kyun

Log Ho Ya Lagaav Ho Kuch Bhi Na Ho To Kuch Nahin
Ban Ke Farishta Aadmi Bazm-E-Jahaan Mein Aaye Kyun

Jur’rat-E-Shauq Phir Kahaan Waqt Hi Jab Nikal Gaya
Ab To Hain Yeh Nidamatein Sabr Kiya Tha Haaye Kyun

Rone Pe Woh Mere Hanse Ranj Pe Mere Shaad Hon
Chhed Mein Kuchh To Hai Mazaa Warna Sataaye Kyun

 -------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Thank you for posting this Very interesting article.It was very beneficial for me.Keep sharing such ideas in the future as well.
    images of diwali wishes

    ReplyDelete

–>