Iftikhar Arif
Basti Bhi Samander Bhi Bayaban Bhi Mera Hai
Aankhen Bhi Meri Khwab-E-Pareshan Bhi Mera Hai
Jo Doobti Jati Hai Wo Kashti Bhi Hai Meri
Jo Tootata Jaata Hai Wo Paiymaan Bhi Mera Hai
Jo Haath Uthe The Wo Sabhi Haath The Mere
Jo Chaak Huaa Wo Garebaan Bhi Mera Hai
Jis Ki Koyi Aawaaz Na Pahchan Na Manzil
Wo Qaafla Be-Saro-Saamaan Bhi Mera Hai
Weeraana-E-Maqtal Pe Hejab Aaya To Is Baar
Khud Cheekh Pada Main Ke Ye Unwaan Bhi Mera Hai
Daraftagee-E-Subah Basharat Ko Khabar Kya
Andesha-E-Sad Sham-E-Gharibaan Bhi Mera Hai
Main Waris-E-Gul Hoon Ke Nahin Hoon Magar Hai Jaan
Khamyaaza Tauhin-E-Bahaaraan Bhi Mera Hai
Mitti Ki Gawahi Se Badi Dil Ki Gawahi
Yun Ho To Ye Zanjir Ye Zindaan Bhi Mera Hai
-----------------------