Shamsi Minai- Nazm- Aag



Shamsi Minai


Yeh Hai Paigham Naya Raushni-E-Dil Ke Liye
Aag Ki Baat Chali Garmi-E-Mahfil Ke Liye

Rang Deti Hai Yehi Ishq Ke Afsaanon Ko
Haan Milati Hai Yehi Sham'a Se Parvaanon Ko

Yeh To Mitti Ko Badal Deti Hai Guldaanon Mein
Is Ki Taaseer Bhari Rahti Hai Paimaanon Mein

Is Ki Sohbat Lab-E-Shayar Ko Ghazal Deti Hai
Yeh To Sone Ko Bhi Kundan Mein Badal Deti Hai

Is Ki Hikmat Ne Mazedar Ghiza Bakhshi Hai
Is Ne Insaan Ko Jeene Ki Ada Bakhshi Hai

Yeh Ho Maujood To Phir Bazm-E-Chiraghaan Kahiye
Yeh Na Ho Ghar Mein To Phir Sham-E-Gharibaan Kahiye

Yeh Sulagti Hai To Rangeen Kahani Ki Tarah
Yeh Bhadakti Hai To Bharpoor Jawaani Ki Tarah

Is Ke Bhadke Hue Sholon Ki Zabaan Kya Kahiye
Chaat Jaati Hai Jawaahar Ki Dukaan Kya Kahiye

Parda-E-Khak Mein Har Shai Ko Chhupa Leti Hai
Shaan-O-Shaukat Ka Har Andaz Mita Deti Hai

Itni Hushyaar Fizaaon Ko Jala Deti Hai
Chaub To Chaub Hawaaon Ko Jala Deti Hai

Aag Basti Mein Jo Lag Jaaye Qayamat Kahiye
Aag Seene Mein Jo Lag Jaaye Muhabbat Kahiye

Aag Mehfil Mein To Taqreer Se Lag Jaati Hai
Mulk Bhar Mein Kabhi Tahreer Se Lag Jaati Hai

Raag Se Yeh Kabhi Paani Mein Bhi Lag Jaati Hai
Mai-Parasti Se Jawaani Mein Bhi Lag Jaati Hai

Ho Jo Mandap Mein To Phir Ghar Ko Saja Deti Hai
Ajnabi Logon Ko Aapas Mein Mila Deti Hai

Yeh To Har Haal Mein Paigham-E-Fana Deti Hai
Maut Ke Ba'd Bhi Arthi Ko Jala Deti Hai

Laaj Aurat Ki Bacha Leta Hai Is Ka Jauhar
Rasm-E-Jauhar Bhi Ada Karta Hai Is Ka Jauhar

Ishq Ki Aag To Imaan Ko Badha Deti Hai
Pet Ki Aag To Imaan Ko Jala Deti Hai

Aag Lagti Hai To Holi Ki Tari Aati Hai
Shab-E-Diwali Chiraghon Se Bhari Aati Hai

Aadmi Ke Liye Khoon-Khwar Bhi Ban Jati Hai
Waqt Pad Jaye To Gulzar Bhi Ban Jati Hai

Log Batlaayen Ki Andaz-E-Wafa Kya Hota
Aag Hoti Na To Jeene Ka Maza Kya Hota

----------------------
–>