Sahir Ludhianvi - Nazm - 'Nazr-E-College'

Nazm - Nazr-E-College



Ai Sarzameen-E-Paak Ke Yaaraan-E-Nek-Naam
Ba-Sad-Khuloos Shaayar-E-Aavaara Ka Salaam
Ai Vaadi-E-Jameel Mere Dil Ki Dharkanein
Aadaab Kah Rahi Hain Teri Baar-Gaah Mein

Tu Aaj Bhi Hai Mere Liye Jannat-E-Khayaal
Hain Tujh Mein Dafn Meri Javaani Ke Chaar Saal
Kumhlaaye Hain Yahaan Pe Meri Aashiqi Ke Phool
In Raaston Mein Dafn Hain Meri Khushi Ke Phool
Teri Navaazishon Ko Bhulaayaa Na Jaaye Gaa
Maazi Ka Naqsh Dil Se Mitaayaa Na Jaaye Gaa

Teri Nishaat- Khez Fazaa-E-Javaan Ki Khair
Gul Haaye Rang-O-Boo Ke Haseen Kaarvaan Ki Khair
Daur-E-Khizaan Mein Bhi Teri Kaliyaan Khili Rahein
Taa-Hashr Ye Haseen Fazaayein Basi Rahein
Ham Ek Khaar The Jo Chaman Se Nikal Gaye
Nang-E-Vatan The Khud Hi Vatan Se Nikal Gaye

Gaaye Hain Fazaa Mein Vafaaon Ke Raag Bhi
Naghmaat Aatisheen Bhi Bikheri Hai Aag Bhi
Sarkash Bane Hain Geet Baghaawat Ke Gaaye Hain
Barson Naye Nizaam Ke Naqshe Banaaye Hain
Naghma Nishaat-Rooh Ka Gaayaa Hai Baa-Rahaa
Geeton Mein Aansuon Ko Chhupaaya Hai Baa-Rahaa
Maasoomiyon Ke Jurm Mein Bad-Naam Bhi Hue
Tere Tufail Morid-E-Ilzaam Bhi Hue

Is Sar-Zameen Pe Aaj Ham Ik Baar Hi Sahi
Duniya Hamaare Naam Se Be-Zaar Hi Sahi
Lekin Ham In Fazaaon Ke Paale Hue To Hain
Gar Yaan Nahin To Yaan Se Nikaale Hue To Hain!


      -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>