Jaun Elia - Hum Tera Hijr Manaane Ke Liye Nikle Hain

Hum Tera Hijr Manaane Ke Liye Nikle Hain

Hum Tera Hijr Manaane Ke Liye Nikle Hain
Shahar Mein Aag Lagaane Ke Liye Nikle Hain

Shahar Koochon Mein Karo Hashr Bapa Aaj Ke Hum
Us Ke Waade Ko Bhulaane Ke Liye Nikle Hain

Hum Se Jo Rooth Gaya Hai Woh Bahut Hai Masoom
Hum To Auron Ko Manaane Ke Liye Nikle Hain

Shahar Mein Shor Hai, Woh Yun Ke Gumaan Ke Safari
Apne Hi Aap Mein Aane Ke Liye Nikle Hain

Woh Jo They Shahar-E-Tahayyur Tere Pur-Funn Me’maar
Wohi Pur-Funn Tujhe Dhaane Ke Liye Nikle Hain

Rah-Guzar Mein Teri Qaleen Bichhaane Waale
Khoon Ka Farsh Bichaane Ke Liye Nikle Hain

Humein Karna Hai Khudawand Ki Imdaad So Hum
Dair-O-Ka’aba Ko Ladaane Ke Liye Nikle Hain

Sar-E-Shab Ek Nai Tamseel Bapaa Honi Hai
Aur Hum Pardah Uthaane Ke Liye Nikle Hain

Humein Sairaab Nayi Nasl Ko Karna Hai So Hum
Khoon Mein Apne Nahaane Ke Liye Nikle Hain

Hum Kahin Ke Bhi Nahin Par Yeh Hai Roodaad Apni
Hum Kahin Se Bhi Na Jaane Ke Liye Nikle Hain

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>