Jaun Elia - Mera Meri Zaat Mein Sauda Hua

Mera Meri Zaat Mein Sauda Hua

Mera Meri Zaat Mein Sauda Hua
Aur Main Phir Bhi Na Sharminda Hua

Kya Sunaaoon Sarguzasht-E-Zindagi
Ek Saraaye Mein Tha Main Thehra Hua

Paas Tha Rishton Ka Jis Basti Mein Aam
Main Usi Basti Mein Be-Rishta Hua

Ek Gali Se Jab Se Roothan Hai Meri
Main Hoon Saare Shehr Se Rootha Hua

Panj-Shanba Aur Dukaan-E-Mai-Farosh
Kya Bataaoon, Kaisa Hungaama Hua

---------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>