Jaun Elia - Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda-E-Jaan

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda-E-Jaan

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda-E-Jaan
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob-E-Muhabbat Ka Jawaab
Uss Ke Andaaz-E-Nigaarish Se Pareshaan Hoon Main
Wehshat-Afza Hai Mere Waaste Asloob-E-Khitaab
Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees-O-Riwayaat Nahin Sun'na Thin
Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba-E-Kaamil Tum Mein
Mujh Ko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Thin
Tum Ne Likha Hai Ke Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab-E-Zam-Zam Sey Karo Pur Na Jawaani Ka Ayaagh
Tum Ne Likha Hai Ke Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma-E-Kaaba Se Jalaao Na Meri Shab Ka Chiraagh
Tum Agar Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likho
Bhai Ke Khat Bhi Chhup Chhup Ke Parha Karte Hain
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao
Bhai Ka Naam Bhi Sharma Ke Liya Karte Hain
Main Ne Samjha Tha Mai-Naab-E-Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees-E-Takhhayyul To Badi Mushkil Hai
Aao Main Tum Ko Batlaaoon Ke Muhabbat Kya Hai
Hasrat-E-Larzish-E-Be-Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard-O-Aurat Mein Meri Hoor Terey Sir Ki Qasam
Rishta-E-Aadam-O-Hawwa Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>