Aabroo Kya Khaak Us Gul Ki Gushan Mein Nahin
Hai Ghariban Nang-E-Pairahan, Jo Daman Mein Nahin
Zo’f Se Ai Giryah! Kuch Baaqi Merey Tan Mein Nahin
Rung Ho Kar Ud Gaya, Jo Khoon Ke Daman Mein Nahin
Ho Gaye Hain Jama Ajzaa-E-Nigah-E-Aaftab
Zarre Us Ke Ghar Ki Deewaron Ke Rauzan Mein Nahin
Raunaq-E-Hasti Hai Ishq-E-Khaana Weeran Saaz Se
Anjuman Be Shama Hai, Gar Barq-E-Khirman Mein Nahin
Zakhm Silwaane Se Mujh Pe Chaara-Jooi Ka Hai Ta’n
Ghair Samjha Hai Ki Lazzat Zakhm-E-Sozan Mein Nahin
Bas Ki Hum Hain Ek Bahaar-E-Naaz Ke Maare Huye
Jalwa-E-Gul Ke Sewa, Gard Apne Madfan Mein Nahin
Qatra Qatra Ek Heyolah Hai Naye Naasoor Ka
Khoon Bhi, Zauq-E-Dard Se Faarigh Mere Tan Mein Nahin
Le Gayi Saqi Ki Nakhwat, Qulzum-Aashaami Meri
Mauj-E-Mai Ki Aaj Rag, Meena Ki Gardan Mein Nahin
Ho Fishaar-E-Zo’f Mein Kya Naa-Tawaani Ki Namood!
Qad Ke Jhukne Ki Bhi Gunjaaish Mere Tan Mein Nahin
Thi Watan Mein Shaan Kya, ‘Ghalib’ Ke Ho Ghurbat Mein Qadr
Be-Takalluf, Hoon Woh Musht-E-Khas Ke Gulkhan Mein Nahin
-----------------------------------
0 Comments