Ghalib - Dost, Gham-Khwaari Mein Meri

Dost, Gham-Khwaari Mein Meri


Dost, Gham-Khwaari Mein Meri Sa’yee Farmaayen Ge Kya
Zakhm Ke Bharne Talak Naakhun Na Badh Jaayen Ge Kya

Be-Neyaazi Had Se Guzri, Band-Parwar, Kab Talak
Hum Kahen Ge Haal-E-Dil Aap Farmaa Den Ge Kya

Hazrat-E-Naseh Gar Aayen, Deeda-O-Dil Farsh-E-Raah
Koi Mujh Ko Yeh To Samjha Do Ki Samjhaayen Ge Kya

Aaj Waan Tegh-O-Kafan Baandhe Huwe Jaata Hoon Main
Uzr Mere Qatal Karne Mein Woh Ab Laayen Ge Kya

Gar Kiya Naseh Ne Hum Ko Qaid, Achcha, Yon Sahi
Yeh Junoon-E-Ishq Ke Andaz Chhut Jaayen Ge Kya

Khaana-Zaad-E-Zulf Hain, Zanjeer Se Bhaagen Ge Kyon
Hain Giraftar-E-Wafa, Zindaan Se Ghabraayen Ge Kya

Hai Ab Is Ma’moorey Mein Qaht-E-Gham-E-Ulfat, ‘Asad’
Hum Ne Yeh Maanaa Ke Dilli Mein Rahen, Khaayen Ge Kya

-----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>