Ghalib - Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat

Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat


Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat Bayan Ho Jaaye Ga
Be Takalluf Daahg-E-Mah, Mohr-E-Dahaan Ho Jaaye Ga

Zuhra Gar Sham-E-Hijr Mein Hota Hai Aab
Pataw-E-Mahtab-E-Seel-E-Khanmaan Ho Jaaye Ga

Le To Loon Sote Mein Uske Paun Ka Bosa Magar
Aisi Baton Se Woh Kafir Badgumaan Ho Jaaaye Ga

Dil Ko Hum Sarf-E-Wafa Samajhe They, Kya Maloom Tha
Ya’ni Yeh Pahle Hi Nazr-E-Imtehaan Ho Jaaye Ga

Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Jo Too Raazi Hua
Mujh Pe Goya Ek Zamana Meherbaan Ho Jaaye Ga

Gar Nigah-E-Garm Farmaati Rahi Taleem-E-Zabt
Sho’la Khas Mein, Jaise Khoon Rag Mein Nihaan Ho Jaaye Ga

Bagh Mein Mujh Ko Na Le Jaa Warna Mere Haal Par
Har Gul-E-Tar, Ek Chashm-E-Khoon-Fishaan Ho Jaaye Ga

Waai Gar Mera Tera Insaf Mahshar Mein Na Ho
Ab Talak To Yeh Tawaqqo’ Hai Ki Waan Ho Jaaye Ga

Faayeda Kya, Soch, Aakhir Too Bhi Daana Hai ‘Asad’
Dosti Naadaan Ki Hai, Jee Ka Zeyaan Ho Jaaye Ga

---------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>