Hai Bas Ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishaan Aur
Karte Hain Muhabbat To Guzarta Hai Giraan Aur
Yaa Rab! Woh Na Samjhe Hain Na Samjhen Ge Meri Baat
Dey Aur Dil Un Ko, Jo Na De Mujh Ko Zabaan Aur
Abroo Se Hai Kya Us Nigah-E-Naaz Ko Paiwand
Hai Teer Muqarrar Magar Uski Hai Kamaan Aur
Tum Shaher Mein Ho To Hamein Kya Ghum, Jab Uthen Ge
Le Aayen Ge Bazaar Se Jaa Kar Dil-O-Jaan Aur
Har Chand Subuk-Dast Huwe But-Shikani Mein
Hum Hain To Abhi Raah Mein Hai Sung-E-Geraan Aur
Hai Khoon-E-Jigar Josh Mein, Dil Khol Ke Rota
Hote Jo Kai Deeda-E-Khoon Naa Ba-Fishaan Aur
Marta Hoon Is Aawaz Pe, Har Chand Ki Sar Ud Jaaye
Jallad Ko Lekin Woh Kahe Jaayen Ki "Haan' Aur"
Logon Ko Hai Khurshid-E-Jahan-Taab Ka Dhoka
Har Roz Dikhaata Hoon Ek Dagh-E-Nihaan Aur
Leta, Na Agar Dil Tumhen Deta, Koi Dam Chain
Karta, Jo Na Marta Koi Din, Aah-O-Fughaan Aur
Paatey Nahin Jab Raah, To Chadh Jaate Hain Naale
Rukti Hai Meri Taba’ To Hoti Hai Rawaan Aur
Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achche
Kahte Hain Ki ‘Ghalib’ Ka Hai Andaaz-E-Bayaan Aur
-----------------------------------
0 Comments