Reyaz Khairabadi- Woh Kaun Hai Duniya Mein Jise Gham Nahin Hota

woh-kaun-hai


Woh Kaun Hai Duniya Mein Jise Gham Nahin Hota
Kis Ghar Mein Khushi Hoti Hai Maatam Nahin Hota

Tum Jaa Ke Chaman Mein Gul-O-Bulbul Ko Dekho
Kya Lutf Tah-E-Chadar-E-Shabnam Nahin Hota

Mitate Hue Dekhi Hai Ajab Husn Ki Tasveer
Ab Koi Mare Mujh Ko Zara Gham Nahin Hota

Aise Bhi Hain Duniya Mein Jinhen Gham Nahin Hota
Ek Ham Hain Hamara Gham Kabhi Kam Nahin Hota

Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hota

Kuchh Aur Bhi Hoti Hain Bigarne Ki Adaayen
Banne Mein Sanwarne Mein Yeh Aalam Nahin Hota

Kuchh Bhi Ho ‘Reyaz’ Aankh Mein Aansoo Nahin Aate
Mujh Ko Toh Kisi Baat Ka Ab Gham Nahin Hota

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>