THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home › Misc Sher of Daagh Dehlvi

 

dagh dehlvi



Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin

Zeher De De Agar Sharaab Nahin

 

Roz Marta Hun Roz Jeeta Hoon

Zindagi Ka Koi Hisaab Nahin


                  ------------------------------


Haath Apne Donon Nikle Kaam Ke

Haath Ko Thaama Un Ka Daaman Thaam Ke

 

‘Daagh’ Ke Sab Harf Likhte Hain Judaa

Tukde Kar Daale Hamaare Naam Ke


            --------------------------


Jis Waqt Aaye Hosh Mein Kuchh Be-Khudi Se Ham

Karte Rahe Khayaal Mein Baatein Usi Se Ham

 

Naa-Chaar Tum Ho Dil Se To Majboor Jee Se Ham

Rakhte Ho Tum Kisi Se Muhabbat Kisi Se Ham


                     ---------------------------


Jab Tere Dil Se Utar Jaata Hai Dil

Jeete Jee Kambakht Mar Jaata Hai Dil

 

Raah Mein Kaaba Bhi Hai But-Khaana Bhi

Dekhiye Le Ke Kidhar Jaata Hai Dil

 

Kis Ki Nibhti Hai Hamesha Rasm-O-Raah

Chaar Din Mein ‘Daagh’ Bhar Jaata Hai Dil


                 ------------------------------


More Poetry Ffrom Daagh Delvi

Daagh Dehlvi

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib