Daur-E-Aflaaq Ka Shabab Hai Tu
Aaftabon Ka Aftaab Hai Tu
Roop Aisa Hasin Jaise Gunah
Khalq Ka Hasil-E-Sawaab Hai Tu
Tujh Se Joban Ujaali Raaton Ka
Maahtaabon Ka Maahtaab Hai Tu
Aur Zer-E-Shafaq Chiraghaan Ho
Aaj Yun Ma'eel-E-Hijaab Hai Tu
Ye Sitare Tere Paseene Ke
Shab Ka Dahka Hua Shabaab Hai Tu
Tu Jo Surat Pakad Le Hai Vo Khayal
Yak-Ba-Yak Jaag Uthe Vo Khwab Hai Tu
Jo Baharon Ke Dil Se Uthte Hain
Unnhi Sholon Ka Pecho-Taab Hai Tu
Aankh Padti Hai Ek Zamane Ki
Bazm-E-Imkaan Mein Intkhaab Hai Tu
Jaise Naghme Lab-E-'Firaq' Pa' Soye
Sez Par Yun Hi Mehv-E-Khwab Hai Tu
Aaftabon Ka Aftaab Hai Tu
Roop Aisa Hasin Jaise Gunah
Khalq Ka Hasil-E-Sawaab Hai Tu
Tujh Se Joban Ujaali Raaton Ka
Maahtaabon Ka Maahtaab Hai Tu
Aur Zer-E-Shafaq Chiraghaan Ho
Aaj Yun Ma'eel-E-Hijaab Hai Tu
Ye Sitare Tere Paseene Ke
Shab Ka Dahka Hua Shabaab Hai Tu
Tu Jo Surat Pakad Le Hai Vo Khayal
Yak-Ba-Yak Jaag Uthe Vo Khwab Hai Tu
Jo Baharon Ke Dil Se Uthte Hain
Unnhi Sholon Ka Pecho-Taab Hai Tu
Aankh Padti Hai Ek Zamane Ki
Bazm-E-Imkaan Mein Intkhaab Hai Tu
Jaise Naghme Lab-E-'Firaq' Pa' Soye
Sez Par Yun Hi Mehv-E-Khwab Hai Tu
---------------------

No comments:
Post a Comment