Firaq - Kuchh Ishaare The Jinhen Duniyaa Samajh Baithe The Ham

 
Kuchh Ishaare The Jinhen Duniyaa Samajh Baithe The Ham
Us Nigaah-E-Aashnaa Ko Kyaa Samajh Baithe The Ham

Raftaa Raftaa Ghair Apni Hi Nazar Men Ho Gaye
Vaah Ri Ghaflat Tujhe Apnaa Samajh Baithe The Ham

Hosh Ki Taufiq Bhi Kab Ahal-E-Dil Ko Ho Saki
Ishq Men Apne Ko Divaanaa Samajh Baithe The Ham

Be-Niyaazi Ko Teri Paayaa Saraasar Soz-O-Dard
Tujh Ko Ik Duniyaa Se Begaanaa Samajh Baithe The Ham

Bhool Baithi Vo Nigaah-E-Naaz Ahad-E-Dosti
Us Ko Bhi Apni Tabiyat Kaa Samajh Baithe The Ham

Husn Ko Ik Husn Ki Samajhe Nahin Aur Ai 'Firaq'
Meharbaan Naa-Meharbaan Kyaa Kyaa Samajh Baithe The Ham
  ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>