Ghalib - Dil Se Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi

Dil Se  Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi

Dil Se  Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi
Donon Ko Ik Adaa Mein Razaamand Kar Gayi

Shaq Ho Gaya Hai Seena, Khushi Lazzat-E-Firaaq
Takleef-E-Pardaadaari-E-Zakhm-E-Jigar     Gayi

Woh  Baada-E-Shabaana Ki Sar Mastiyaan Kahaan
Uthiye Bas Ab Ki Lazzat-E-Khwaab-E-Sahar Gayi

Udti Fire  Hai  Khaak  Meri  Koo-E-Yaar Se
Baare Ab Ai Hawa, Hawas-E- Baal-O-Par Gayi

Dekhoon  To   Dil-Farebi-E-Andaaz-E-Naqsh-E-Pa
Mauj-E-Khiraam-E-Yaar Bhi Kya Gul Katar Gayi

Har Bulhawas Ne Husn_Parasti Shiaar Ki
Ab  Aabru-E-Shewa-E-Ahl-E-Nazar   Gayi

Nazzaare  Ne  Bhi  Kaam  Kiya  Waan  Naqaab Ka
Masti Se Har Nigaah Tere Rukh Par Bikhar Gayi

Farda-O-Dee  Ka  Tafarqa Yak Baar  Mit Gaya
Kal Tum Gaye Ke Ham Pe Qayaamat Guzar Gayi

Maara  Zamaane  Ne   'Asadullah Khaan'  Tumhe
Woh Walwale Kahaan, Woh Jawaani Kidhar Gayi

   --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>