THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Khumar - Gham-E-Duniyaa Bahut Izaa-Rasaan Hai
Khumar barabankvi



Gham-E-Duniyaa Bahut Izaa-Rasaan Hai,
Kahaan Hai, Ai Gham-E-Jaanaan Kahaan Hai,

Ek Aansoo Kah Gayaa Sab Haal Dil Kaa,
Main Samjhaa Tha Ye Zaalim Be-Zubaan Hai,

Ye Maanaa Zindagi Faani Hai Lekin
Agar Aa Jaaye Jinaa, Jaawidaan Hai,

Wo Kaantaa Hai Jo Chubh Kar Toot Jaaye,
Muhabbat Ki Bas Itni Daastaan Hai

---------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib