Shaharyar - Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofaan Sa Kyun Hai

ghazal-seene mein jalan

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofaan Sa Kyun Hai
Is Shahar Mein Har Shakhs Pareshaan Sa Kyun Hai

Dil Hai To Dhadakne Ka Bahaanaa Koi Dhoondhe
Patthar Ki Tarah Be-His-O-Bejaan Sa Kyun Hai

Tanhaai Ki Ye Kaun Si Manzil Hai Rafiqo
Taa-Hadd-E-Nazar Ek Bayaabaan Sa Kyun Hai

Ham Ne To Koi Baat Nikaali Nahin Gham Ki
Vo Zood-E-Pashemaan, Pashemaan Sa Kyun Hai

Kyaa Koi Nai Baat Nazar Aati Hai Ham Mein
Aainaa Hamein Dekh Ke Hairaan Sa Kyun Hai

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>