Duniya Main Kaun Kaun Na Yak Baar Ho Gaya
Par Munh Phir Is Tarf Na Kiya Us Ne Jo Gaya
Phirti Hai Meri Khaak Saba Dar-Ba-Dar Liye
Aye Chashm-E-Ashkabaar Ye Kya Tujh Ko Ho Gaya
Aagah Is Jahaan Main Nahin Ghair Be Khudaan
Jaaga Wahi Idhar Se Jo Mund Aankh So Gaya
Tufaan-E-Noah Ne To Dubaai Zamin Faqat
Main Nang-E-Khalq Saari Khudaai Dubo Gaya
Baraham Kahin Na Ho Gul-O-Bulbul Ki Aashati
Darta Hoon Aaj Baagh Main Wo Tund Khu Gaya
Waaiz Kise Daraawe Hai Yom-Ulhisaab Se
Giriyaan Mera To Naama-E-Aamal Dho Gaya
Phulenge Is Zabaan Main Bhi Gulzar-E-Maarfat
Yaan Main Zamin-E-Sher Main Ye Tukhm Bo Gaya
Aaya Na Aitadaal Par Hargiz Mazaaj-E-Dahar
Main Garche Garm-O-Sard-E-Zamaana Samo Gaya
Aye “Dard” Jis Ki Aankh Khuli Is Jahaan Main
Shabnam Ki Tarah Jaan Ko Apni Wo Ro Gaya
-----------------------------
0 Comments