Momin - Shab-E-Gam-E-Furqat Hame Kya Kya Maze Dikhlaae Tha

Shab-E-Gam-E-Furqat Hame

Shab-E-Gam-E-Furqat Hame Kya Kya Maze Dikhlaae Tha
Dam Ruke Tha Seene Main Kambakht Ji Ghabraae Tha

Bal Be Ayyari Adu Ke Aage Wo Paimaan Shikan
Waada-E-Vasl Phir Karta Tha Aur Sharmaae Tha

Sun Ke Meri Marg Bole Mar Gaya Achchha Hua
Kya Bura Lagta Tha Jis Dam Saamne Aa Jaae Tha

Baat Shab Ko Us Ke Mana-E-Beqaraari Se Badi
Ham To Samjhe Aur Kuch Wo Aur Kuch Samjhaae Tha

Koi Din To Us Pe Kya Taswir Ka Aalam Raha
Har Koi Hairat Ka Putla Dekh Kar Ban Jaae Tha

Su-E-Sahra Le Chale Us Ku Se Meri Naash Haae
Tha Yahi Dar In Dino Talwa Mera Khujlaae Tha

Ho Gai Do Roz Ki Ulfat Main Kya Haalat Abhi
“Momin”-E-Vahshi Ko Dekha Is Taraf Se Jaae Tha

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>