Shakeel - Shikvaa-E-Iztaraab Kaun Kare

Shikwa-E-Iztaraab Kaun Kare

Shikwa-E-Iztaraab Kaun Kare
Apani Duniya Kharaab Kaun Kare

Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunaah
Rahmaton Ka Hisaab Kaun Kare

Ishq Ki Talkh Kaamiyon Ke Nisaar
Zindegi Kaamyaab Kaun Kare

Daawat-E-Maykashi Un Aankhon Main
Jurrat-E-Iztaraab Kaun Kare

Dil Ka Aaina Saamne Laakar
Tujh Ko Tera Jawaab Kaun Kare

Ham Se Maykash Jo Tauba Kar Baithe
Phir Ye Kaar-E-Sawaab Kaun Kare

Garq-E-Jaam-O-Sharaab Hoke 'Shakeel'
Shugl-E-Jaam-O-Sharaab Kaun Kare

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>