Zabaan-E-Hind Hai Urdu To Maathe Ki Shikan Kyon Hai-Manzar Bhopali

Zabaan-E-Hind Hai Urdu


Zabaan-E-Hind Hai Urdu To Maathe Ki Shikan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Meri Mazloom Urdu Teri Saanson Men Ghutan Kyon Hai
Tera Lahjaa Mahakta Hai To Lafzon Men Thakan Kyon Hai
Agar Too Phool Hai To Phool Men Itni Chubhan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Ye Naanak Ki Ye Khusro Ki Daya Shankar Ki Boli Hai
Ye Divali Ye Baisakhi Ye Id-Ul-Fitr Holi Hai
Magar Ye Dil Ki Dhadkan Aaj Kal Dil Ki Jalan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Ye Naazon Se Pali Thi Meer Ke Ghalib Ke Aangan Men
Jo Sooraj Ban Ke Chamaki Thi Kabhi Mahlon Ke Daaman Men
Vo Shah-Zaadi Zabaanon Ki Yahan Be-Anjuman Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Muhabbat Ka Sabhi Elaan Kar Jaate Hain Mahfil Men
Ke Is Ke Vaaste Jazbaa Hai Hamdardi Ka Har Dil Men
Magar Haq Maangne Ke Vaqt Ye Begaana-Pan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Ye Doshiza Jo Baazaaron Se Ithlaati Guzarati Thi
Labon Ki Naazuki Jis Ki Gulaabon Si Bikharti Thi
Jo Tahzibon Ki Sar Ki Odhni Thi Ab Kafan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

Muhabbat Ka Agar Daavaa Hai To Is Ko Bachaao Tum
Jo Vaadaa Kal Kiya Tha Aaj Vo Vaadaa Nibhaao Tum
Agar Tum Ram Ho To Phir Ye Ravan Ka Chalan Kyon Hai
Vatan Men Be-Vatan Kyon Hai

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>