Meer Anees - Ai Momino! Hussain Ka Matam Akheer Hai

Ai Momino! Hussain Ka Matam

Ai Momino! Hussain Ka Matam Akheer Hai
Bazm-E-Azaa-E-Qibla-E-Alam Akheer Hai
Shi’yo! Shah-E-Anaam Ka Matam Akheer Hai
Hain Majlis-E-Tamaam Moharram Akheer Hai

Uryaan Sar Hai Fatah-E-Badr-O-Hunain Ka
De Lo Batool-E-Paak Ko Pursa Hussain Ka


Haan Aashiqaan-E-Shah-E-Umam! Peeto Apna Sar
Ashra Hai Aaj Aur Ye Qayamat Ki Hai Sahar
Aalam Ke Baadshaah Ka Dunya Se Hai Safar
Uth Te Hain Taaziye Ke Chaley Shah-E-Bahrobar

Rukhsat Hai Shah Ki Ahl-E-Azaa Be-Hawaas Hain
Dekho To Kaise Ta’ziya Khane Udaas Hain


Wa Hasrata Imam-E-Gharibaan Ka Kooch Hai
Afsos Hai Ke Deen Ke Sultaan Ka Kooch Hai
Roanakh Ke Din Chaley Shah-E-Zeeshaan Ka Kooch Hai
Rukhsat Karo Hussain Se Mehmaan Ka Kooch Hai

Sadma Ajab Tarah Ka Hai Dil Par Hai Jaan Par
Kaisi Udaasi Phaeli Huwi Hai Jahaan Par


Ai Noor-E-Chashm-E-Ahmad-E-Muqtaar Alwida
Ai Sayyed Ai Batool Ke Dildaar Alwida
Ai Ummat-E-Rasool Ke Gham-Khwaar Alwida
Ai Hum Se Be-Kason Ke Madadgaar Alwida

Aah-O-Bukan Se Hum Kabhi Ghafil Na Hoin Ge
Jab Tak Jeeyen Ge Aap Ki Ghurbat Pe Roin Ge


Ai Be Dayaar-O-Be Sar-O-Samaan Alwida
Ai Bint-E-Mustafa Ke Dil-O-Jaan Alwida
Ahmad Ke Baagh Ke Gul Rehaan Alwida
Das Din Ke Mo’mineen Ke Mehmaan Alwida

Shi’yo Nisaar Tere Tan-E-Paash Paash Ke
Ai Be Kafan Hussain! Fida Teri Laash Ke


Ai Jism-O-Jaan-E-Haider-E-Karrar Alwida
Ai Shi’yaan-E-Deen Ke Sardar Alwida
Sayyad Ghareeb Be-Kas-O-Naachaar Alwida
Be Khoish-O-Be Biradar-O-Be Yaar Alwida

Hai Hai Imaam Baadon Ko Sunsaan Kar Chaley
Aqaa Tamaam Hind Ko Veraan Kar Chaley


Lo Shah-E-Deen Ke Taziya Daaro! Karo Buka
Maatam Ke Din Tamaam Huwe Wa Musibata
Yaaro! Wida Hota Hai Mazloom-E-Karbala
Mehmaan Dou Pehar Ka Hai Wo Shah-E-Dou Saraa

Ab Maut Le Chali Shah-E-Aali Maqaam Ko
Rukhsat Karo Hussain Alaihis Salaam Ko


Peeto Mohibbo! Hind Se Aaqa Ka Kooch Hai
Ro’o Ke Aaj Sayyed-E-Waala Ka Kooch Hai
Afsoos Hai Ke Bekas-O-Tanha Ka Kooch Hai
Haan Shi’yoon! Khaak Udhao Ke Moula Ka Kooch Hai

Jee Bhar Ke Ronay Paaye Na Matam Huwa Akheer
Aashur Ka Bhi Rozay Moharram Huwa Akheer


Kis Tarha Aaye Ta’ziya Daaron Ke Dil Ko Chain
Har Simpt Rooh-E-Fatima Roti Hai Karke Bain
Ahl-E-Azaa! Ye Nauha Padho Ab Ba Shor-O-Shain
Qurbaan Teri Laash Ke Zahra Ke Noor-E-Ain

Mohtaaj Gor Garm Zameen Par Padha Raha
Chalees Roz Dasht Mein Be Sar Padha Raha


Dou Din Ki Dhoop Raat Ki Wo Aaus Hai Sitam
Wo Kankaroon Ka Farsh Wo Maidaan-E-Dard-O-Gham
Aur Garm Garm Jhonkoon Ka Chalna Wo Dam Badam
Is Dukh Pe Saarbaan Ne Kiye Haath Bhi Qalam

Sadmey Guzar Gaye Ye Tan-E-Chaak Chaak Par
Hai Hai Ye Aasmaan Na Gira Phat Ke Khaak Par


Lo Yaaro! Ab Hussain Ki Rukhsat Ka Roz Hai
Hyder Ke Noor-E-Ain Ki Rukhsat Ka Roz Hai
Zahra Ke Dil Ke Chain Ki Rukhsat Ka Roz Hai
Sultaan-E-Mashraqain Ki Rukhsat Ka Roz Hai

Phir Karbala Ki Simpt Shah-E-Karbala Chala
Hadi Chala Imaam Chala Peshwa Chala


Sibt-E-Nabi Ki Majlis-O-Matam Tamaam Hai
Ibn-E-Ali Ki Majlis-O-Matam Tamaam Hai
Haq Ke Wali Ki Majlis-O-Matam Tamaam Hai
Roo-E-Sakhi Ki Majlis-O-Matam Tamaam Hai

Aainda Saal Tak Jo Koi Zinda Hoyega
Phir Wo Shareek Hokay Moharram Mein Royega


Bas Ye Zareeh Hogi Na Hoinge Ye Alam
Ye Majlisein Ye Sohbatein Ghar Ghar Se Hogi Kam
Mimbar Ko Khali Dekh Ke Hoyega Dil Ko Gham
Ye Din Wo Hain Ke Qatl Huwe Hain Shah-E-Umam

Abh Taaziya Uth Ta Hai Har Ik Khaak Udhayega
Abh To Imam Baarhoon Mein Jaya Na Jaayega


Ro’o Mohibbo! Aaj Ke Riqqat Ka Roz Hai
Sibt-E-Nabi Ki Aaj Shahadath Ka Roz Hai
Mazloom-O-Tashnalab Pa Musibat Ka Roz Hai
Sar Par Udhao Khaak Qayamat Ka Roz Hai

Maatam Tumharey Aaqa Ka Yaaro Tamaam Hai
Mehmaan Koi Dam Koi Saa’at Imaam Hai


Ashray Ka Din Hai Aaj Mohibbaan-E-Bawafa
Khanjar Se Zibhh Hogaye Sultaan-E-Karbala
Laazim Ka Aaj Tum Ko Karo Girya-O-Buka
Jalti Zameen Par Tan-E-Uryaan Parhaa Raha

Ghusl-O-Kafan Diya Na Tan-E-Paash Paash Ko
Gaada Kisi Ne Aakey Na Sayyed Ki Laash Ko


Ay Momino! Hussain Ki Rahlat Ka Waqt Hai
Ay Yaaro! Tumse Shaah Ki Rukhsat Ka Waqt Hai
Lutne Ka Fatima Ki Riyazat Ka Waqt Hai
Aaqa Ki Ye Tumharey Shahadath Ka Waqt Hai

Turbat Mein Jaakey Zar-E-Zameen Gar Na Soyenge
Phir Aglay Saal Ashray Mein Hazrat Ko Royenge


Ro Lo Azizo! Phir Kahan Tum Aur Ye Din Kahaan
Aglay Baras Jo Zinda Thay Hain Khaak Mein Nahaan
Kya Ai’temad Zeesth Ka Dunya Ke Darmiyaan
Paik-E-Ajal Se Dahr Mein Milti Hai Kab Amaan

Kahe Ko Is Sawaab Ko Haatho Se Kho-O-Tum
Aainda Saal Ho Ke Na Ho Khoob Ro-O-Tum


Ya Rabb! Jahan-E-Nazm-E-Riyazat Hara Rahe
Gulshan Ye Hum Jiloon Se Phoola Phala Rahe
Ahl-E-Azaa Pe Saaya-E-Mushkil Kusha Rahe
Daamaan Gul-E-Ummeed Se Har Dam Bhara Rahe

Is Nazm Ka Anees Tujhe Phir Sila Miley
Sadqe Se Panjetan Ke Jo Ho Muddu’a Miley

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>