Meer Anees - Naara Tha Ke Haan Aey Sipah-E-Shaam, Khabar-Daar

Karbala Mein Imam Husain

Karbala Mein Imam Husain

Naara Tha Ke Haan Aey Sipah-E-Shaam, Khabar-Daar
Abbas-E-Dilaawar Hai Mera Naam, Khabar-Daar
Hai Qahr-E-Ilaahi Meri Samsaam, Khabar-Daar
Naizah Hai Mera Maut Ka Paighaam, Khabar-Daar

Main Lakht-E-Jigar Saaheb-E-Shamsheer-E-Do-Sar Hoon
Hoshyaar Ke Main Sher-E-Ilaahi Ka Pisar Hoon

Farma Ke Yeh Li Tegh, Bahaadur Ne Miyaan Se
Ghode Ko Jo Chhera, Na Ruka Laakh Jawaan Se
Har Waar Mein Sar Girne Lagey Barg-E-Khizaan Se
Chalne Mein Ziyaada Thi Rawaan, Aab-E-Rawaan Se

Jis Par Padi, Naazil Hua Qahr Uss Pa Raza Ka
Thi Tegh Ki Zarbat Ke Tamaancha Tha Qaza Ka

Hangaam-E-Wegha Band Thi Rah Amn-O-Amaan Ki
Jaan Chodti Thi Na Woh Kisi, Peer-O-Jawaan Ki
Humdum Thi Yadullah Ki Tegh-E-Do- Zabaan Ki
Thi Qatey Ummid Uss Se Har Ek Dushman-E-Jaan Ki

Har Fard Ko Iss Tegh Ka Jauhar Nazar Aaya
Saaya Bhi Pada Jis Pa Woh Be-Sar Nazar Aaya

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>