Hali - Hai Justaju Ke Khoob Se Hai Khoob-Tar Kahan

Hai Justaju Ke Khoob Se Hai

Hai Justaju Ke Khoob Se Hai Khoob-Tar Kahan
Ab Dekhiye Thaharti Hai Jaa Kar Nazar Kahan

Yaa Rab Is Ikhtilat Ka Anjaam Ho Bakhair
Tha Us Ko Ham Se Rabt, Magar Is Qadar Kahan

Ik Umr Chaahiye Ke Gawara Ho Nesh-E-Ishq
Rakkhi Hai Aaj Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Kahan

Ham Jis Pe Mar Rahe Hain Wo Hai Baat Hi Kuch Aur
Aalam Mein Tujh Se Lakh Sahi Too Magar Kahan

Hoti Nahin Qubool Dua Tark-E-Ishq Ki
Dil Chaahta Na Ho To Zuban Mein Asar Kahan

‘Hali’ Nishat Naghma-O-Mai Dhoondhte Ho Ab
Aaye Ho Waqt-E-Subh, Rahe Raat Bhar Kahan

-------------------

Post a Comment

2 Comments

–>