Hali - Kahne Ki Bat Ho To Use Kah Sunaayiye

Kahne Ki Bat Ho To Use Kah Sunaayiye


Kahne Ki Bat Ho To Use Kah Sunaayiye
Jo Dil Pe Ban Rahi Ho, Kyon Kar Dikhaayiye

Dunya Ki Ho Hawas To Dil-O-Din Ganwaayiye
Yan Khoyiye Bahut Sa To Kuch Jaa Ke Paayiye

Ye Kya Ke Dil Hai Dair Mein Aur Kaabe Mein Maqaam
Ho Rahiye Bas Wahin Ke, Jahan Dil Lagaayiye

Gar Jaan Ka Zarar Hai Mohabbat Mein Naaseho
Ham Jaan Hi Se Baithe Hain Bezaar Jaayiye

Aur Aitabar Khote Hain Apna Rahaa-Sahaa  
Bas Aa Gaya Yaqin Hamein, Qasmein Na Khaayiye

Hoti Hujoom-E-Gham Mein Hai, Kyon Zahar Ki Talaash
‘Hali’ Batayen Aap Ko, Gar Kuch Khialayiye

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>