Chirkeen - Misc. Ashaar

Misc Ashaar



Ahl-E-Hunar Samajhte Hain Ahl-E-Hunar Mujhe
‘Chirkeen’ Woh Khud Lachar Hai Jo Samjhe Lachar Mujhe

-----------------------

‘Chirkeen’ Ki Khata Par Nahin Hansne Ki Jagah Yaar
Hagta Na Ho Duniya Mein Who Kaun Aisa Bashar Hai

------------------------

Shiddat To Dekhiye Na Gaye Bam-Polis Tak
Aa Kar Woh Phir Gaye Mere Bait-Ul-Hazan Ke Paas

--------------------------

Tha Giraftaari Mein Jo Khatra Mujhe Be-Daad Ka,
Kar Diya Bait-Ul-Khala Hug Hug Ke Ghar Sayyaad Ka.

--------------------------

Run Mein Jis Dam Taigh Kheenchi Haidar-E-Karraar Ne,
Hag Dia Dahshat Ke Maare  Lashkar-E-Kuffaar Ne.

------------------------

Rok Kar Ghode Ko Us Ne Meri Turbat Pe Kaha
Leed Karni Ho To Kar Le Tu Yahin Thodi Si

------------------------

Qabr Pe Aa Ke Bhi Uss But Ne Na Moota Afsos
Kaam Kuch Apne Na Marg-E-Shab-E-Hijraan Aayi

----------------------------

Hamesha Rahte Ho Baitul Khala Mein Tum ‘Chirkeen’
Jahaan Mein Kis Ko Tumhara Makaan Nahin Ma’loom

-------------------------

Kya Khata ‘Chirkeen’ Ki Saabit Ki, Jo Kahte Ho Bura
Har Ghadi Ki Goo-Ha-Chhi-Chhi, Jaan-E-Man Behtar Nahin

---------------------------

Maronde Pet Mein Uthein Na Kis Tarah ’’Chirkeen’’,
Kisi Ki Zulf Ka Yaad Aya Pench-O-Taab Hamein.

-------------------------

Chandni Ko Khet Mein Jab Hagne Baitha Maah-Ru,
Leed Kha Kha Kar Hilaal-E-Charkh Gardun Ho Gaya.

-------------------------

Dast Par Dast Chale Aate Hain Le Jald Khabar,
Tere Beemaar Ka Ab Haal Hai Patla Qaatil.

--------------------------

Dast-Bar-Daar Hoon In Baaton Se Ab Jaane De,
Qatl ‘Chirkeen’ Ko Na Kar, Goo Na Uchhaal Ai Qaatil.
---------------------------

Roz-O-Shab Hagne Se Tum Us Se Khfa Rahte The
Mehtaro Khush Raho ‘Chirkeen’ Ne Watan Chhoda

---------------------------

Chitak Chitak Ke Wo Jaati Hai Naand Ke Baahar
Udaaye Deta Hai Bhujwa Juwaar Phuski Mein

-------------------------

Kisi Ke Paad Se Udte Na Kankari Dekhi
Udaaye Deta Hai ‘Chirkeen’ Pahaad Phuski Se

-------------------------

Hum Se Achche Hain Pakhaane Ke Qadamche ‘Chirkeen’,
Hum To Deedar Ko Tarsen Wo Barehna Dekhen.

--------------------------

Baad Muddat Aap Ka Mere Ghar Aana Hua,
Tez Ki Ghumdan Hui Aur Dhad Se Pakhana Hua.

------------------------

‘Chirkeen’ Chane Ke Khet Me Chirko Alag Alag,
Soorat Alag Alag Rahe Seerat Alag Alag.

--------------------------

Dil Tha Khayal-E-Yaar Mein Nikla Jo Ek Dast,
Pok Se Deewar Pe Tasveer-E-Jaanaan Ban Gai.

-----------------------------

Naaz Se Bola Dam-E-Rukhsat Na Aana Phir Kabhi,
Warna Ai ‘Chirkeen’ Yeh Ghar Bait-Ul-Khala Ho Jayega.

-------------------------

Goo Ha Chhi Chhi Par Mizaj-E-Yaar Phir Maayal Hua
Ghair Sag-Seerat Ki Phir Sohbat Mein Who Daakhil Hua

---------------------------

Jaana Ahl-E-Aabroo Ko De Kabhi Ganda Miazaaj
Hauz-E-Pakhana Mein Kab Taamir Fawwaara Hua

------------------------

Jaisi Karta Hai Koi Waisi Hi Pesh Aati Hai
Khaaye Jo Aag Hage Ga Wahi Angaare Surkh

----------------------------

Goo Uchhaale Ga Sidi Ho Ga Chune Ga Tinke
Woh Pari Ghar Mein Jo ‘Chirkeen’ Ke Mehmaan Aaye

-------------------------

Salsal-Ul-Baul Ki Maanind Rahe Daak Ravaan
Itne Khat Likhoon Zamaane Se Ho Unqa Kaghaz

-------------------

Pakhana Wahin Ho Gaya Gulzaar Tumhaara
Khuddi Mein Gira Toot Ke Jab Haar Tumhaara

-------------------------------

Mootne Mein Aaya Gar Dandaan-E-Jaanaan Ka Khayaal
Jo Gire Gaa Moot Ka Qtra Guhar Ho Jaaye Gaa

---------------------------

Kya Kahen Tujh Se Ke Kya Kya Hui ‘Chirkeen’ Ko Hawas
Paaekhaane Mein Badan Dekh Kar Uryaan Tera

-------------------------

Moot De Dahshat Ke Maare Hag De Jallad-E-Falak
Dekhe Aalam Yaar Ki Gar Tegh-E-Khoon-Aashaam Ka

Shaikhji Ko Phir Tabeebon Ne Bataaya Hai Amal
Ho Gaya Phir Aaj Kal Un Ko Khalal Sarsaam Ka

Saamne Uss Ke Na Keejaye Guftugu Har Ek Se
Goo Uchhaale Ga Bahut Chikeen Hai Apne Naam Ka

--------------------------------

‘Chirkeen’ Mere Kooche Mein Kahin Rahne Na Paawe
Mehtar Pe Yehi Hukm Hai Uss Aafat-E-Jaan Ka

-----------------------------

Agar Baitul-Khalaa-E-Yaar ‘Chirkeen’ Kaa Makaan Ho Ga
Wahin Taskeen-E-Dil Ho Gi Wahin Aaraam-E-Jaan Ho Ga

Wabaa Ne Maar Daala Kaise Kaise Hagne Waalon Ko
Muqarrar Is Baras Kuchh Khaad Ka Sauda Garaan Ho Ga

------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Thanks for sharing some of Chirkeen's kalaam. I had a printed Deewan-e-Chirkeen but unfortunately somebody borrowed and misplaced it.

    Plang pe baith k kuch istarah chirko alag alag
    Rangat alag alag ho aur khushboo alag alag

    Chandni mein khait mein hagne jo baitha mahroo
    Laind kham kha k hilal-e-charkh-e-gardoon ho gaya

    Kapde chirkeen jab badalte hain
    Itr k badle moot malte hain

    Ab k jo tere dar se jaaon ga
    Mootne bhi kabhi na aaon ga

    Mehtrani se dil lagaen gay
    Wo kamae gi aap khaaen gay

    ReplyDelete

–>