Sahir Ludhianvi-Nazm- Khud-Kushi Se Pehle

Nazm- Khud-Kushi Se Pehle

Uff Ye Be-Dard Siyaahi, Ye Havaa Ke Jhonke
Kis Ko Ma’loom Hai Is Shab Ki Sahar Ho Ke Na Ho
Ik Nazar Tere Dareeche Ki Taraf Dekh To Loon
Doobti Aankhon Mein Phir Taab-E-Nazar Ho Ke Na Ho
Abhi Raushan Hain Tere Garm Shabistaan Ke Diye
Neelgoon Pardon Se Chhanti Hain Shuaaein Ab Tak
Ajnabi Baahon Ke Halqe Mein Lachakti Hongi
Tere Mahke Hue Baalon Ki Ruaayein Ab Tak
Sard Hoti Hui Batti Ke Dhuein Ke Hamraah
Haath Phailaaye Badhe Aate Hain Bojhal Saaye
Kaun Ponchhe Meri Aankhon Ke Sulagte Aansoo
Kaun Uljhe Hue Baalon Ki Girah Suljhaaye
Aah Ye Ghaar Halaakat, Ye Diye Ka Mahbas
Umr Apni Inhin Taareek Makaanon Mein Kati
Zindagi Fitrat-E-Behis Ki Puraani Taqseer
Ik Haqeeqat Thi Magar Chand Fasaanon Si Kati
Kitni Aasaaishein Hansti Rahin Aivaanon Mein
Kitne Dar Meri Javaani Pe Sadaa Band Rahe
Kitne Haathon Ne Bunaa Atlas -O-Kamkhwaab Magar
Mere Malboos Ki Taqdeer Mein Paiwand Rahe
Zulm Sahte Hue Insaanon Ke Is Maqtal Mein
Koi Fardaa Ke Tasavvur Se Kahaan Tak Bahle
Umr Bhar Rengte Rahne Ki Sazaa Hai Jeenaa
Ek Do Din Ki Azeeyat Ho To Koi Sah Le
Vahi Zulmat Hai Fazaaon Pe Abhi Tak Taari
Jaane Kab Khatm Ho Insaan Ke Lahoo Ki Taqteer
Jaane Kab Bikhre Siya-Posh Fazaa Kaa Joban
Jaane Kab Jaage Sitam-Khurdah Bashar Ki Taqdeer
Abhi Raushan Hain Tere Garm Shabistaan Ke Diye
Aaj Main Maut Ke Ghaaron Mein Utar Jaaoon Ga
Aur Dam Todti Batti Ke Dhuein Ke Hamraah
Sarhad-E-Marg-E-Musalsal Se Guzar Jaaoon Ga
 --------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Incomparable
    Sahir Ludhianvi Sahib wrote what he experienced.

    ReplyDelete

–>