Sahir Ludhianvi-Nazm- Naa-Kaami

Nazm- Naa-Kaami


 Main Ne Har Chand Gham-E-Ishq Ko Khona Chaahaa
Gham-E-Ulfat , Gham-E-Duniyaa Mein Samonaa Chaahaa

Vahi Afsaane Meri Samt Ravaan Hain Ab Tak
Vahi Sho’le Mere Seene Mein Nihaan Hain Ab Tak
Vahi Be-Sood Khalish Hai Mere Seene Mein Hanoz
Vahi Be-Kaar Tamannayein Javaan Hain Ab Tak
Vahi Gesu Meri Raaton Pe Hain Bikhre Bikhre
Vahi Aankhein Meri Jaanib Nigraan Hain Ab Tak
Kasrat-E-Gham Bhi Mere Gham Ka Mudaavaa Na Hua
Mere Bechain Khayaalon Ko Sakoon Mil Na Sakaa
Dil Ne Duniyaa Ke Har Ik Dard Ko Apnaa To Liyaa
Muzmahil Rooh Ko Andaaz-E-Junoon Mil Na Sakaa

Meri Takh’eel Ka Sheeraaza-E-Barham Hai Vahi
Mere Bujhte Hue Ahsaas Ka Aalam Hai Vahi
Vahi Be-Jaan Iraade Vahi Be-Rang Savaal
Vahi Be-Rooh Kasha-Kash, Vahi Be-Chain Khayaal

Aah Us Kashmakash-E-Subah-O-Masaa Ka Anjaam
Main Bhi Naa-Kaam, Meri Sa’i-E-Amal Bhi Naakaam

 ------------------------



Post a Comment

0 Comments

–>