Sahir Ludhianvi -Nazm- Mujhe Sochne De

 
 
Meri Naakaam Muhabbat Ki Kahaani Mat Chhed
Apni Mayoos Umangon Ka Fasaanaa Na Sunaa
Zindagi Talkh Sahi, Zahar Sahi, Sam Hi Sahi
Dard-O-Aazaar Sahi, Jabr Sahi, Gham Hi Sahi
Lekin Is Dard-O-Gham-O-Jabr Ki Vus’at Ko To Dekh
Zulm Ki Chhaanv Mein Dam Torti Khalqat Ko To Dekh
Apni Mayoos Umangon Ka Fasaanaa Na Sunaa
Meri Naakaam Muhabbat Ki Kahaani Mat Chhed
Jalsa-Gaahon Mein Ye Vahshat-Zadah Sahme Anboh
Rah-Guzaaron Pe Falaakat-Zadah Logon Ke Giroh
Bhook Aur Pyaas Se Paz-Murdah Siyaah-Faam Zamin
Teerah-O-Taar Makaan, Muflis-O-Beemaar Makeen
Nau’e-Insaan Mein Ye Sarmaaya-O-Mehnat Ka Tazaad
Aman-O-Tahzeeb Ke Parcham Tale Qaumon Ka Fasaad
Har Taraf Aatish-O-Aahan Ka Ye Sailaab-E-Azeem
Nit Naye Tarz Pe Hoti Hui Duniyaa Taqseem
Lah-Lahaate Hue Kheton Pe Javaani Ka Samaan
Aur Dahqaan Ke Chhappar Mein Na Batti Na Dhuaan
Ye Falak-Bos Milein, Dilkash-O-Seemeen Baazaar
Ye Ghalaazat Ye Jhapat-Te Hue Bhookhe Baazaar
Door Saahil Pe Vo Shaffaaf Makaanon Ki Qataar
Sar-Saraate Hue Pardon Mein Simat-Te Gulzaar
Dar-O-Deevaar Pe Anvaar Ka Sailaab Ravaan
Jaise Ik Shaayar-E-Madhosh Ke Khwaabon Ka Jahaan
Ye Sabhi Kyon Hai Ye Kyaa Hai, Mujhe Kuchh Sochne De
Kaun Insaan Ka Khuda Hai, Mujhe Kuchh Sochne De
Apni Maayoos Umangon Ka Fasaanaa Na Sunaa
Meri Naakaam Muhabbat Ki Kahaani Mat Chhed
                ---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>