Sahir Ludhianvi-Nazm- Lamha-E-Ghanimat

Nazm- Lamha-E-Ghanimat

Muskuraa Ai Zameen-E-Teerah-O-Taar
Sar Uthaa Ai Dabi Hui Makhlooq
Dekh Vo Maghribi Ufaq Ke Qareeb
Aandhiyaan Pech-O-Taab Khaane Lagin
Aur Puraane Qamaar Khaane Mein
Kuhnah Shaatir Baham Ulajhne Lage
Koi Teri Taraf Nahin Nigraan
Ye Giraan-Baar Sard Zanjeerein
Zang-Khurda Hain, Aahani Hi Sahi
Aaj Mauqa Hai Toot Sakti Hain
Fursat-E-Yak Nafas Ghaneemat Hai
Sar Uthaa Ai Dabi Hui Makhlooq
 --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>