Mere Khwaabon Ke Jharokon Ko Sajaane Waali
Tere Khwaabon Mein Kahin Mera Guzar Hai Ke Nahin
Pooch Kar Apni Nigaahon Se Bataa De Mujh Ko
Meri Raaton Ke Muqaddar Mein Sahar Hai Ke Nahin

Chaar Din Ki Ye Rafaaqat Jo Rafaaqat Bhi Nahin
Umr Bhar Ke Liye Aazaar Hui Jaati Hai
Zindagi Yoon To Hamesha Se Pareshaan Si Thi
Ab To Har Saans Giraan-Baar Hui Jaati Hai

Meri Ujdi Hui Neendon Ke Shabistaanon Mein
Too Kisi Khwaab Ke Paikar Ki Tarah Aai Hai
Kabhi Apni-Si, Kabhi Ghair Nazar Aati Hai
Kabhi Ikhlaas Ki Moorat, Kabhi Harjaai Hai

Pyaar Par Bas To Nahin Hai Mera, Lekin Phir Bhi
Too Bataa De Ke Tujhe Pyaar Karoon Yaa Na Karoon
Too Ne Khud Apne Tabassum Se Jagaayaa Hai Jinhein
Un Tamannaaon Kaa Izhaar Karoon Yaa Na Karoon

Too Kisi Aur Ke Daaman Ki Kali Hai Lekin
Meri Raatein Teri Khushbu Se Basi Rahti Hain
Too Kahin Bhi Ho Tere Phool Se Aariz Ki Qasam
Teri Palkein Meri Aankhon Pe Jhuki Rahti Hain

Tere Haathon Ki Haraarat, Tere Saanson Ki Mahak
Tairati Rahti Hai Ehsaas Ki Pahnaai Mein
Dhoondhti Rahti Hai Takhayyul Ki Baahein Tujh Ko
Sard Raaton Ki Sulagti Hui Tanhaai Mein

Tera Altaaf-O-Karam Ek Haqeeqat Hai Magar
Ye Haqeeqat Bhi Haqeeqat Mein Fasaana Hi Na Ho
Teri Maanoos Nigaahon Kaa Ye Mohtaat Payaam
Dil Ke Khoon Karne Ka Ek Aur Bahaana Hi Na Ho

Kaun Jaane Mere Imroz Ka Fardaa Kya Hai
Qurbatein Badh Ke Pashemaan Bhi Ho Jaati Hain
Dil Ke Daaman Se Lipat-Ti Hui Rangin Nazrein
Dekhte-Dekhte, Anjaan Bhi Ho Jaati Hain

Meri Darmaanda Javaani Ki Tamannaaon Ke
Muzmahil Khwaab Ki Ta’abeer Bataa De Mujh Ko
Tere Daaman Mein Gulistaan Bhi Hain, Veeraane Bhi
Mera Haasil, Meri Taqdeer Bataa De Mujh Ko

---------------------------
0 Comments