Gulzar- Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyon Bujhta Nahin Dhuwaan



Gulzar


Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyon Bujhta Nahin Dhuwaan
Uthataa To Hai Ghataa Sa Barastaa Nahin Dhuwaan

Choolha Nahin Jalaayaa Basti Hi Jal Gai
Kuchh Roz Ho Gaye Hain Ab Uthtaa Nahin Dhuwaan

Aankhon Se Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yoon Chehra Pher Lene Se Chhupta Nahin Dhuwaan

Aankhon Se Aansuon Ke Maraasim Puraane Hain
Mehmaan Ye Ghar Men Aayen To Chubhtaa Nahin Dhuwaan


-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>