Phoot Pareen Mashriq Se Kirnein
Haal Banaa Maazi Ka Fasaana
Goonjaa Mustaqbil Ka Taraana
Bheje Hain Ahbaab Ne Tohfe
Ate Pare Hain Mez Ke Kone
Dulhan Bani Hui Hain Raahein
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke
Nikli Hai Bangle Ke Dar Se
Ik Muflis Dahqaan Ki Beti
Afsurdah Murjhaai Hui Hai
Jism Ke Dukhte Jor Dabaati
Aanchal Se Seene Ko Chhupaati
Mutthi Mein Ik Note Dabaaye
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke
Bhookhe Zard Gadaa-Gar Bachche
Kaar Ke Peechhe Bhaag Rahe Hain
Waqt Se Pahle Jaag Utthey Hain
Peep Bhari Aankhein Sahlaate
Sar Ke Phodon Ko Khujlaate
Vo Dekho Kuchh Aur Bhi Nikle
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke
---------------------
0 Comments