Ghalib - Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai

Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai

Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai

Ham Hain Mushtaaq Aur Woh Bezaar
Yaa Ilaahi ! Yeh Maajra Kya Hai

Main Bhi Munh Mein Zabaan Rakhta Hoon
Kaash Poocho Ki Mudda’a Kya Hai

Jab Ki Tujh Bin  Nahin Koi Maujood
Phir Ye Hangaama, Ai Khuda ! Kya Hai

Ye Pari-Chehra Log Kaise Hain
Ghamza-O-Ishwa-O-Adaa Kya Hai

Shikan-E-Zulf-E-Ambar Kyon Hai
Nigah-E-Chashm-E-Soorma Sa Kya Hai

Sabja-O-Gul Kahaan Se Aaye Hain
Abr Kya Cheez Hai, Hawa Kya Hai

Ham Ko Unse Wafa Ki Hai Ummeed
Jo Nahin Jaante Wafa Kya Hai

Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga
Aur Darvesh Ki Sada Kya Hai

Jaan Tum Par Nisaar Karta Hoon
Main Nahin Jaanata Duaa Kya Hai

Main Ne Maana Ki Kuchch Nahin 'Ghalib'
Muft Haath Aaye Bura Kya Hai


---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>