Milti Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Milti Ho Raahat Azaab Mein
Kab Se Hoon, Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein
Taa Phir Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein
Qaasid Ke Aate-Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein
Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuchch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein
Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Us Pe Kya Chale
Kyoon Bad-Gumaan Hoon Dost Se Dushman Ke Baab Mein
Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tum Ko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein
Mai Aur Haz-E-Wasl, Khuda-Saaz Baat Hai
Jaan Nazr Deni Bhool Gaya Iztiraab Mein
Hai Tevari Chadhi Hui Andar Naqaab Ke
Hai Ik Shikan Padi Hui Tarf-E-Naqaab Mein
Laakhon Lagaav, Ik Churaana Nigaah Ka
Laakhon Banaav, Ik Bigaadna Itaab Mein
Woh Naala Dil Mein Khas Ke Barabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pade Aaftaab Mein
Woh Sehar Mudda Talbi Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein
'Ghalib' Chhuti Sharaab, Par Ab Bhi Kabhi-Kabhi
Peeta Hoon Roz-E-Abr -O- Shab-E-Maahtaab Mein
---------------------------
0 Comments