Husn-E-Mah, Garche Ba-Hangaam-E-Kamaal Achcha Hai
Uss Se Mera Mah-E-Khursheed-E-Jamaal Achcha Hai
Bosa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigaah
Jee Mein Kehte Hain, Muft Aaye To Maal Achcha Hai
Aur Baazaar Se Le Aaye Agar Toot Gaya
Saaghar-E-Jam Se Mera Jaam-E-Sifaal Achcha Hai
Be-Talab Dein To Maza Uss Mein Siwa Milta Hai
Woh Gada Jis Ko Na Ho Khoo-E-Sawaal Achcha Hai
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai
Dekhiye Paate Hain Ushshaaq Buton Se Kya Faiz
Ik Birahaman Ne Kaha Hai, Ke Yeh Saal Achcha Hai
Ham-Sukhan Teshe Ne Farhaad Ko Sheereen Se Kiya
Jis Tarah Ka Bhi Kisi Mein Ho Kamaal Achcha Hai
Qatra Dariya Mein Jo Mil Jaaye To Dariya Ho Jaaye
Kaam Achchaa Hai Woh, Jiska Ma'aal Achcha Hai
Khijr Sultaan Ko Rakhe Khaaliq-E-Akbar Sar-Sabz
Shaah Ke Baagh Mein Yeh Taaza Nihaal Achcha Hai
Ham Ko Ma'aloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin
Dil Ke Bahlaane Ko, 'Ghalib' Yeh Khayaal Achcha Hai
--------------------------
0 Comments