Nasha-E-Shauq-E-Rang Mein Tujh Sey Judaai Ki Gayi
Ek Lakeer Khoon Ki Beech Mein Kheench Di Gayi
Thi Jo Kabhi Sar-E-Sukhan Meri Woh Khaamoshi Gayi
Haaye Kahan Sunan Ki Baat, Haaye Woh Baat Hi Gayi
Shauq Ki Ek Umr Mein Kaise Badal Sake Ga Dil
Nabz-E-Junoon Hi To Thi Shaher Mein Doobti Gayi
Us Ki Gali Se Uth Ke Main Aan Para Tha Apne Ghar
Ek Gali Ki Baat Thi Aur Gali Gali Gayi
Us Ki Umeed-E-Naaz Ka Hum Sey Yeh Maan Tha Ke Aap
Umr Guzaar Deejiye Umr Guzaar Dee Gayi
Daur-Ba-Daur, Dil-Ba-Dil, Dard-Ba-Dard, Dam-Ba-Damm
Tere Yahaan Ria’ayat-E-Haal Nahin Rakhi Gayi
‘Jaun’ Junoob-E-Zard Ke Khaak Basar Yeh Dukh Uthha
Mauj-E-Shemal-E-Sabz-E-Jaan Aai Thi Aur Chali Gayi
Kya Woh Gumaan Nahin Raha? Haan Woh Gumaan Nahin Raha
Kya Woh Umeed Bhi Gai? Haan Woh Umeed Bhi Gayi
Baat Koi Umeed Ki Mujh Sey Nahin Kahi Gayi
So Mere Khwab Bhi Gaye, So Meri Neend Bhi Gayi
Jaaniye Kya Talaash Thi ‘Jaun’ Mere Wujood Mein
Jis Ko Main Dhoondta Gaya, Jo Mujhe Dhoondhti Gayi
Ek Khushi Ka Haal Hai Khush-Sukhanaan Ke Darmyaan
Izaat-E-Shaaiqeen-E-Gham Thi Jo Rahi Sahi Gayi
Jab Main Tha Shehr-E-Zaat Ka Tha Mera Har Nafas Azaab
Phir Main Wahan Ka Tha Jahan Haalat-E-Zaat Bhi Gayi
Tum Ne Bahot Sharaab Pi Is Ka Sabhi Ko Dukh Hai ‘Jaun’
Aur Jo Dukh Hai Woh Yeh Hai Tum Ko Sharaab Pi Gayi
Jaan Teray Firaaq Mein Shaam Sey Shab Jo Ki Gayi
Khoob Sharaab Pi Gai Aur Kharaab Pi Gai
Shikwa Jo Hai To Is Ka Hai Shikwa Nahin Kiya Gaya
Ranj Jo Hai To Is Ka Hai Baat Faqat Sahi Gayi
Sood-O-Zayaan To Khair Kya In Ki Tameez Hai Ajab
Waise Isi Tameez Mein Apni To Zindagi Gayi
Jis Ka Surood-E-Raushni Mehfil-E-Shab Faroz Tha
Us Dil-E-Daagh-Zaar Sey Apni Hi Raushni Gayi
-------------------------
2 Comments
Wah..
ReplyDeleteBht bht Shukriya bhai share karne ke liye
ReplyDelete