Mirza Ghalib - Daher Mein, Naqsh-E-Wafa

Daher Mein, Naqsh-E-Wafa


Daher Mein, Naqsh-E-Wafa Wajh-E-Tasalli Na Hua
Hai Ye Woh Lafz Ke Sharminda-E- Ma’ni Na Hua

Sabza-E- Khat Se Tera Kakul-E-Sarkash, Na Daba
Yeh Zamarrud Bhi, Hareef-E-Dam-E-Ufa’yi Na Hua

Main Ne Chaaha Tha Ki Andoh-E-Wafa Se Chhootoon
Woh Sitamgar Mere Marne Pe Bhi Raazi Na Hua

Dil Guzargah-E-Khayal-E-Mai Wa Saghar Hi Sahi
Gar Nafas Jaada-E-Sar Manzil-E-Taqwaa Na Hua

Hoon Terey Wa’da Na Karne Pe Bhi Razi Ke Kabhi
Gosh Minnat Kash-E-Gulbaang-E-Tasalli Na Hua

Kis Se, Mahroomi-E-Qismat Ki Shikayat Keejiye
Hum Ne Chaaha Tha Ki Mar Jaayein, So Woh Bhi Na Hua

Mar Gaya Sadma-E-Yak-Jumbish-E-Lab Se ‘Ghalib’
Naa-Tawaani Se Hareef-E-Dam-E-Eisa Na Hua

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>