Miza Ghalib - Jab Koi Hum Sa Na Hua

Jab Koi Hum Sa Na Hua

Dar Khor-E-Qaher-O-Ghazab, Jab Koi Hum Sa Na Hua
Phir Ghalat Kya Hai Ki Hum Sa Koi Paida Na Hua

Bandagi Mein Bhi Woh Aazadah Wa Khud-Bin Hain Ki Hum
Ultey Phir Aaye, Dar-E-Kaba Agar Waa Na Hua

Sab Ko Maqbool Hai Da’wa Teri Yaktaai Ka
Roo-Baroo Koi But-E-Aayina Seema Na Hua

Kam Nahin Naazish-E-Hum-Naami-E-Chashm Khoobaan
Tera Beemar, Bura Kya Hai, Gar Achchaa Na Hua

Seene Ka Daagh Hai, Woh Naalah Ke Lab Tak Na Gaya
Khaak Ka Rizq Hai, Woh Qatra Jo Dariya Na Hua

Naam Ka Mere Hai Woh Dukh Ki Kisi Ko Na Mila
Kaam Mein Mere Hai, Woh Fitna Ki Barpa Na Hua

Har Bun-E-Moo Se Dam-E-Zikr Na Tapke Khoon-E-Naab
Hamzah Ka Qissa Huwa, Ishq Ka Charcha Na Hua

Qatre Mein Dajla Dikhaai Na De Aur Juzw Mein Kul
Khel Ladkon Ka Hua, Deeda-E- Beena Na Hua

Thi Khabar Garm Ki ‘Ghalib’ Ke Udenge Purze
Dekhne Hum Bhi Gaye They, Pa Tamasha Na Hua

---------------------------------


Post a Comment

0 Comments

–>