Chashm-E-Ulfat Ajeeb Hoti Hai
Mujh Se Har Shai Qareeb Hoti Hai
Baat Jab Badh Gai Mohabbat Mein
Apni Hasti Raqeeb Hoti Hai
Jis Ko Chaahe Na Koi Duniya Mein
Us Ki Duniya Ajeeb Hoti Hai
Aisa Hota Hai Yaad Kuchh Bhi Nahin
Yun Bhi Yaad-E-Habeeb Hoti Hai
Saamne Wo Hon Aur Baat Na Ho
Wo Ghadi Bad-Naseeb Hoti Hai
Un Ki Baaton Se Zakhm Kha Ke Mujhe
Ek Masarrat Naseeb Hoti Hai
Mujh Ko Jhoohi Tasalliyan To Na Do
Dil Ki Haalat Ajeeb Hoti Hai
Qalb-E-Sayyaad Ke Liye Toofan
Fursat-E-Andaleeb Hoti Hai
Hijr Mein Maut Hi Nahin 'Shamsi'
Zindagi Bhi Qareeb Hoti Hai
----------------

No comments:
Post a Comment